D mart Business Model and Business Strategy and D mart Profit Business Plan | D Mart Case Study
Aap Sochte honge ki kuch saalo me D mart itna Grow kese kar
gya kese usne Big Bazar or Reliance Mall ko Piche Chhod diya, Or Customer ko
Itna Discount kese deta hai Ye sab janne ke liye aap ye article Padhe.
Dmart ke Promoter hai Radhakishan Damani ji joki k investor
hai, jo ab wo investor hai to unhe acche se pata hai ki kesi Business Strategy Business Model me honi chahiye or kese stock holder ko return aata hai.
Dmart bhi yhi Business Strategy ki wajh se business grow kar
rha hai or baki supermarket chain se jyda profit kama raha hai.
D mart Success 5 Secrets or Business Strategy:
1-
Wo apne vedor manufacturer se Slotting Fees
Charge karta hai jisko ap Product ki Entry Fees samaj sakte hai.
2-
Dmart ke sabhi store uske khud ke hai use koi
store ke liye rent nahi dena padta, suruat me isme profit or growth kam hota
hai magar jese jese apke stores badhte jaynge wese aapka cashflow bhi increase
hota jata hai
3-
Dmart apne vendors ko payment jaldi deta hai or
wo jayada volume me product purchase karta hai usse Dmart ko extra discount
milta hai
4-
Dmart uske Extra Cost kam karta hai jesi apne
dekha hoga Dmart me jyda staff nahi hota, Dmart me jyda lighting nahi hoti,
Products jyda dur dur nahi hoti, Dmart ka color jayada expensive nahi hota isse
Dmart apni cost kam kar leta hai.
5-
Dmart Customer ko kam price ke sath sath Free
parking ka benefit or har store me local products bhi mil jati hai jisse Dmart
Customer Relation accha bana leta hai or customer other local or department
store nahi jata.
Why D mart Give Product in Low Price? D mart Itni Kam Price me Product Sell Kese Karta Hai?
-
Dmart Jo Slotting Fees Vendor se leta hai usse
wo Customer ko wo product par discount deta hai
-
Dmart ko Jaldi Payment karne par jo discount
milta hai vendor se or Jyda Volume me purchase karne par jo price negotiate
karta hai uska discount bhi Dmart customer ko deta hai. Jisse baki store se kam
price me product Dmart me milta hai.
How D mart Earn? D mart kese kamata hai?
-
Dmart Usko Vedor se Milne wale Discount or Commission
se Earn Karta hai
-
Dmart Uski Extra Cost kam karta hai usse use growth
milta hai
-
Dmart ko koi rent pay nahi karna padta isse use
growth milta hai
Dmart ko Vendor se milne wala discount wo apne customer ke
sath share karke unhe kam price me product sell karta hai jisse customer hames Dmart
se purchase karte hai,
Dmart Apne interior or extra cost kam karta hai or rent pay
nahi karna padta jisse Dmart ka growth bohot jaldi ho rha hai wo aj India ka
sabse bada Super Market Chain ban chuka hai.